XtGem Forum catalog


Romantic Shayari

Romantic Shayari

PAGE=4

Tum Mere Humsafar Ho
By : Gagan (Views : 619)

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho
Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho
Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho
Phir kaun na chahega, jeete jee hi marna
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho
In khushk fizaon mein, ghangor ghata chha jaati hai
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho
Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho
Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai
"Tum mere HUMSAFAR ho", jab keh kar jaati ho

 

Tumhari Bahon Mein
By : Gagan (Views : 616)

Aankho se hamari khushi chalak jati hai
Jab dekh le tumhe ek bar
to chandni bhi din me nikal aati hai
Bahon mein tumhari aakar
har gum ko bhul jate hai hum
Tumhe paa kar jese hamari
har maangi hui duaa kabul ho jati

 

TUMSA QATIL
By : Gagan (Views : 427)

DIL SI CHEEZ HAI, DENE KO HAI DE DENGE
MAGAR KOI TUMSA QABIL BHI TO HO
HUM TO JAAN DE KE BHI KHUSH HONGE
MAGAR KOI TUMSA QATIL BHI TO HO

 

Pehli Baar Jab Unse
By : Gagan(Views : 629)

Pehli baar jab unse meri tanhaayi mein baat hui
Mere dil ke har kone mein phuulon ki barsaat hui
Unke hothon par machli to voh sirf ik muskaan hi thi
Lekin mujh tak aate aate phuulon ki saughat hui
Chaand, sitaare jugnu usko sunte the muskate the
Shab bhar aankhon hi aankhon se jis bhaGagan mein baat hui
Aur koi pehchaan meri tou ishq me baaki hai hi nahi
Dil ki khalish hi mazhab mera dil ki khalish hi zaat hui
Masti ka aalam na poochho khud mein jazb hue hum yuun
Dhadkan ko bhi yaad nahi kab raat hue parbhaat hue

 

बहता पानी
By : Gagan(Views : 724)

ना कांटों का है दामन ना फुलों कि सेज सुहानी है
ज़िन्दगी तो बस नदी सा बहता पानी है
ना रुकी है पल को भी किसी क रोके
रफ्तार उसकी तुफानी है
ज़िन्दगी और कुछ नही बस बहता पानी है

चली थी पहाड़ से हौले से तो बचपन
लगी इठलाने तो जवानी है
हुई धीमी जो सागर मे मिलने से पहले
तो बुढ़ापे कि भूली सी कहानी है
ज़िन्दगी और कुछ नही बस बहता पानी है

पल भर को बिखरती है झरने से गिर कर
फिर समेट के खुद को ,वोह आगे बड़ जानी है
लाख रोको उसको बाँध बाना कर
मोत् के सागर मे इक दिन मिल ही जानी है
ज़िन्दगी और कुछ नही बस बहता पानी है

Sochti Rehti Hun
By : Gagan (Views : 987)

Tanha jab rehti hun khayalo me tumhe paati hun
har jagah tumhe main mehsoos karti hun
apne saaye mein bhi main tumhe hi dekhti hun
kyun tum hi tum nazar aate ho sochti rehti hun

yeh kaisi hulchal hai dil me jo pehle na thi
her aahat se kyun main chounk uthti hun
nazar hamesha tumhe hi talashti rehti hai
kya tumhe bhi aisa lagta hoga sochti rehti hun

aate hi khayal tumhara lab yun khil jaate hai
dil hi dil me tumhe sada deti rehti hun
saamne na ho phir bhi kyun palak jhuk jaati hai
yeh kaisi uljhan hai kya hua aaj mujhe sochti rehti hun

 

Mohabbat Ki Aag Mein Jal Jaane Do
By : Gagan (Views : 884)

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do
har lamha mar ke aaj phir jee jaane do
isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai
mujhe ishq ki baaho mein so jaane do
tadap ki aag hai judaai ki baahon mein
mujhe aaj is mohabbat se mill jaane do
meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe
mujh benaam ko is naam mein kho jaane do
kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob
mujhe is mohabbat ki aag mein jal jaane do

 

BADALNA AATA NAHI HUMKO
By : Gagan (Views : 1925)

BADALNA AATA NAHI HUMKO MOUSMO KI TARAH
HAR EK ROOP MAIN TERA INTEZAAR KARTE HAIN
NA TUM SAMET SAKOGI JISE QAYAMAT TAK
KASAM TUMHARI TUMHE ITNA PYAR KARTE HAIN

 

APNE AAP
By : Gagan (Views : 1461)

KOSHISH KIJIYE HAME YAAD KARNE KI
LAMHE TO APNE AAP HI MIL JAYENGE
TAMANNA KIJIYE HAME MILNE KI
BAHANE TO APNE AAP HI MIL JAYENGE

 

MERI ANKHON MAIN TERI DEED KI KHWAHISH ABHI TAK HAI
By : Gagan(Views : 993)

MERI ANKHON MAIN TERI DEED KI KHWAHISH ABHI TAK HAI
TERI YADON SE MERE DIL KI ZEBAISH ABHI TAK HAI
TUMHARE BAAD KOI BHI NAHIN AYA HAI IS DIL MEIN
TUM APNA GHAR BANA LO ITNI GUNJAISH ABHI TAK HAI
NIGAHEIN BAS TUMHAIN HI DHOONDTI REHTI HAIN AUR LAMHA
RUKH-E-ROSHAN DIKHA DO INKI FARMAISH ABHI TAK HAI
AZAL SE TUM KO CHAHA HAI ABBAD TAK TUM KO CHAHENGE
MERI ULFAT KI BAS ITNI SI PAIMAISH ABHI TAK HAI
TUMHARI RAH MAIN MAINE WO JO PALKAIN BICHAEEN THEE
NAJANE KIS TARHA QAIM YE ZEBAISH ABHI TAK HAI

Bedaag Chand
By : Gagan(Views : 957)

Dhundata hai zamaana bedaag chand sitaron mein
Are wo to jagmagaa raha hai meri baahon mein
Hairan hai sab, falak pe nahi hain sitaare
Bichha diye hum ne saare unki raahon mein

 

Qaatil Nigaah
By : Gagan(Views : 711)

Teri qaatil nigaah jo giri mere janaaze par
Ruh khil gayee meri is nazraane par
Aye Dil-e-Aaraa ye husn-e-sulook chhod de tu
Warnaa aa jaayegi aafat saare zamaane par

 

Yakeenn
By : Gagan(Views : 789)

Maut par bhi hai yakeen
un par bhi aitabaar hai
dekhte haiN pahle kaun aata hai
dono ka intzaar hai

 

TAMANNAYE FAQIR
By : Gagan(Views : 772)

ek tamanna hai is faqir ke pass
rakh lena apni tasweer meri tasweer ke pass
taaki loag dekh kar kahein
dekho kaise baitha hai RANJHA apni HEER ke paas

 

Apke Bina
By : Gagan(Views : 1203)

Khuda ne yeh jism banaya ye soch kar
jism ke bina rooh hai kya
Phir khuda ne yeh dil banaya yeh soch kar
dil ke bina dharkan hai kya
Phir khuda ne apko banaya ye soch kar
apke bina hum hai kya

Meri Ankhon Mein
By : Gagan(Views : 814)

meri ankhon ke samundar mein jalan kaisi hai
phirse is dil ko tadapne ki lagan kaisi hai
barf ke rup mein dhal jayenge phir sabristey
mujhse pucho ye mohabbat ki agan kaisi hai

 

Lal Dupatta
By : Gagan(Views : 715)

Dupatta laal chunari kaa
lipat kar tujhse rehta hai
Meri pyasi nigaahon par
hameshaa hanstaa rehtaa hai
Kabhi udata hawaaon main
Simatta teri baahon main
Kabhi kaandhe pe bekaboo
Sarakta phirta rehta hai
Tere kaanon main kehta kuchh
Ya seene se laga rehtaa
Teri dhakan ko gin gin kar
Yeh uthta girta rehta hai
Kabhi teri kamar isski
Girafton main bandhi rehti
Kabhi yeh peeth par kaafir
Khisakta khinchtaa rehtaa hai
Kabhi paunchhe paseene ko
Kabhi dhakta hai soorat ko
Kabhi gaalon ko chhoota hai
Kabhi munh lag ke rehtaa hai
Kabhi kaaleen ban jaata
Kabhi godi main sota hai
Tere haathon ko sehlata
Satata mujhko rehtaa hai
Ise sar na chadhao tum
Dupatta hai mera dushman
Hamaare darmiyaan har waqt
Kyon yeh besharm rehta hai

 

Na Tasveer Hai Tumhari
By : Gagan (Views : 5370)

Na tasvir hai tumhari jo didar kiya jaye
na tum paas ho jo pyaar kiya jaye
ye kaun sa dard diya hai aapne
na kuchh kaha jaye, na tum bin raha jaye

 

Kaash Tum
By : Gagan (Views : 6982)

Kya saza teri kya kasoor humara
Jannat jahan ko tune dojak ki aag se jalaya
Kaash teri aankhon ke vaade meri palko tak na baaste
Teri yaadon ki baarish sawaan ki tarah na barasti
Kaash khayalon ke dariya ko tum saahil na banate
Dil churake na dil todte to ye bebasi na hoti
Pyaar ke khel me teri jeet aur meri haar na hoti

 

Tera Ghar
By : Gagan (Views : 3543)

Kash tera ghar mere ghar ke samne hota?
tu na aati to kya hua teri awaz to aaya karti

DIL SE DOOR
By : Gagan (Views : 1893)

HUM APNE APP PAR GUROOR NAHI KARTE
KISI KO PYAR KARNE PAR MAJBOOR NAHI KARTE
MAGAR JISE EK BAAR DIL MEIN BASA LE PHIR
MARTE DAM TAK USE DIL SE DOOR NAHI KARTE

 

Kyun Banata Hai
By : Gagan (Views : 1370)

aye bhagwan tu bhi ye kaisa rishta banata hai
ik taraf to dil unke liye bechain rehta hai
dusri taraf se na koi jawab aata hai
jalade ik shamma unke mann mein hamare liye
de de thodi jagha uske dil mein isme tera kya jata hai
bas ik hi khayal mere mann mein bar bar aata hai
agar dilon mein jagha nahi deni hai tune
to phir tu ye dil hi kyun banata hai?

 

Itna Intzaar Hai
By : Gagan (Views : 1465)

ik baat puchte rehte hain hum,
bhagwan se fariyaad mein,
aisa kya hai unki har baat mein,
kyun aati hai bar bar woh meri yaad mein,
kya bhagwan yahi woh pyar hai,
jisko milne ke liye kiya,
hamne itna intzaar hai.

 

Nazar Aata Hai
By : Gagan (Views : 4259)

mujhe pata nahin kya ho jata hai,
neend aati nahin or chain kho jata hai,
phir dil bechain ho jata hai,
or khwaab kuch aisa aata hai,
ki aap ka hath hamare hathon mein,
or sar hamare kandhe pe nazar aata hai.

 

Phir Yaad Aane Lage
By : Gagan (Views : 909)

Muddaton baad dekha unhe, Hosh kaise thikane lage
Ashq palko par aye meri aur lab thar-tharane lage
Jane kaise hawa ye chali, phool phir muskurane lage
Jinko mushkil se bhule the ham phir wahi yaad aane lage


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter